apnon se kuchh umid bharosa na yar ka baji jo aasra hai to parwardigar ka leti na nam main to kabhi aise yar ka par kya karun ye dil hi nahin ikhtiyar ka machhli phansane jate hain dariya pe roz wo chhutta nahin hai pind is andhe shikar ka joban dhale zaif hui ab kahan wo husn aai khizan gaya wo zamana bahaar ka aadha badan to yun hi khula rahta hai tera aaya na bandhna gamho ab tak izar ka jhanda gada tha nam ka jin ke jahan mein baqi nahin nishan bhi un ke mazar ka 'shaida' ke ghar to jaane ko baithi hun kya karun doli ka hai pata na pata hai kahaar ka