baat ko thap chahiye achchhe bure kahan nahin

baat ko thap chahiye achchhe bure kahan nahin
un ki nahin nahin nahin un ki to han bhi han nahin

byah do aankh mund kar dekho karo na han nahin
is ke bhi bap man nahin us ke bhi bap man nahin

ulti kabir das ki beti samajh mein aae kya
kahte to hain wo han nahin kahte to hain wo han nahin

is ko sharif kahte hain aise sharif hote hain
bap ke nikle bap tum khair ye hai ki man nahin

aap agar nahin hain chor main bhi to phir nahin chhichhor
ghar mein bula lun kis tarah bibi nahin miyan nahin

aam kaho to wo bura imli kaho to wo buri
puchho to aur kaun hain jab ye miyan chiyan nahin

jhuti ho jhut bakti ho jhut bhi wo ki sach ka bap
kaise tumhaari man lun aise mere miyan nahin

apne khuda se lau lagae sabr kiye padi hun main
suni padi hai jhopdi aag nahin dhuan nahin

beti ka byah ho chuka bete ka byah kar chukin
koi kahe yahan nahin koi kahe wahan nahin

mere liye hai nand zahr un ke liye hai sas qahr
mera guzara wan nahin un ka guzara yan nahin

lakh mein ek hain miyan ujdi dulhan khitab hai
kan mein baaliyan nahin hath mein chudiyan nahin

naushe miyan tumhaare to byah ke din abhi na the
simte hue ho sharm se munh pe ye jhurriyan nahin

kaise bataun ladkiyo ruh ki tum ko asliyat
sath hai sae ki tarah deti par apni chhan nahin

pet mein dana chahiye jeb mein dam chahiye
mahngi se mahngi chiz bhi phir to miyan garan nahin

aql ke chalte ai miyan khate ho muft thokaren
din ki rah saf hai khai nahin kuan nahin

rekhti hai ye rekhti 'shaida' ab aur kya kahun
sau ki ek ye baat hai sab mein ye khubiyan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close