aql ek mauj-e-rawan mere khayalat mein hai hasil-e-hosh-o-khirad meri khurafat mein hai lutf jo un ke ishaaraat-o-kinayat mein hai wo kisi harf-o-hikayat na kisi baat mein hai majra-e-gham-e-dil aaj ka qila to nahin ye fasana meri derina riwayat mein hai aatish-e-gul hai mere dagh-e-jigar ki tanwir khush-nawai-e-anadil mere naghmat mein hai khidmat-e-dost mein kal nazr kya tha dil ko tohfa-e-jaan-e-hazin aaj ki saughat mein hai apne pahlu mein mohabbat ko jagah de ai dost khubi-e-har-do-jahan husn-e-musawat mein hai pa-e-saqi pe gira sajde mein shayad waiz ek qayamat si bapa aaj kharabaat mein hai ab kahan apni wafaon pe yaqin hai mujh ko ki yaqin bhi to mera gum tere shubhat mein hai ru-e-dad-e-qamar-o-zohra keh mahbub mujhe husn-e-afaq numayan jo sanamyat mein hai ho jo fursat to kabhi hum se bhi baaten kar lo zindagani ka maza harf-o-hikayat mein hai pae wo din ki ziya-pash rukh-e-raushan tha ab kahan jalwa-e-mahtab meri baat mein hai yaad aa jati hai be-mehri-e-ahbab zarur warna kya faeda ghairon se mulaqat mein hai dil tadapta hai shab-o-roz gham-e-furqat mein ab kisi din mein maza hai na kisi raat mein hai chashm-e-saqi ki taraf dekh rahe hain mai-khwar ye kisi tak mein hai wo bhi kisi ghat mein hai