wo bhi kya din the juda hote na the ek dam kahin gardish-e-aflak se ab tum kahin aur hum kahin tham rahen ya-rab na apne dida-e-pur-nam kahin kam na ho duniya se ab ye chashma-e-zamzam kahin gham na kha ai dil ki duniya ka yahi qanun hai naghma-e-shadi kahin hai nala-e-matam kahin ab ye aalam hai ki ek aalam ka ji qurban hai o but-e-kafir na dekha tera sa aalam kahin go pareshan kar de meri sarsar-e-ah ek jahan ho na wo zulf-e-moambar darham-o-barham kahin zalim-o-be-rahm duniya mein nahin gar aap sa sabir-o-shakir ziyaada mujh se hoga kam kahin ghuncha san khun-e-jigar pi pi ke rahte hain mudam shakl-e-gul ho jae tukde dil jo ho khurram kahin umr ke manind har dam hum se ram hai yar ko chaukdi bhule hiran kar dekh le ye ram kahin us ki pistan par jo phera hath wo kahne laga mahramon par dalte hain hath na-mahram kahin is zamin mein aur bhi 'daula' sunao ek ghazal aap ke se sher ka dekha nahin aalam kahin