gham-e-ishq mein nahin jo kisi nam tak na pahonche nahin yaad nam wo bhi jo salam tak na pahonche wo salam hi nahin hai jo payam tak na pahonche wo payam hi nahin hai jo kalam tak na pahonche wo kalam hi nahin hai jo tamam tak na pahonche wo tamam hi nahin hai jo dawam tak na pahonche wo dawam hi nahin hai jo mudam tak na pahonche wo mudam hi nahin jo tere nam tak na pahonche ye khuda hi jaane waiz ki hui namaz puri rahe mahw-e-sajda yun hum ki salam tak na pahonche wahi dil hai jo na chahe sar-e-baam husn aae hai wahi nazar jo uth kar lab-e-baam tak na pahonche tujhe sahl tha ye saqi koi jam hum tak aata hamein kuchh to hogi mushkil tere jam tak na pahonche wo tumhaari rah thahri na lage suragh jis ka ye hai rasta hamara jo maqam tak na pahonche tere naqsh-e-pa pe chalna na hua kabhi mayassar hamin apni kaj-rawi se pa-e-gam tak na pahonche ye kamal-e-be-khudi hai ki natija-e-khudi hai tujhe dhundte rahe yun ki maqam tak na pahonche main wo rind hun ki saqi teri bakhshishon ke chhinte mere zauq-o-shauq-e-durd-e-tah-e-jam tak na pahonche yahi aashiyan qafas hai hamein is ki kya khushi hai ki hum apni be-pari se kabhi dam tak na pahonche mera nama-e-mohabbat na padha unhon ne pura mujhe rah gai ye hasrat mere nam tak na pahonche