dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi jo mere afkar mein ras gholti hai aaj bhi yun to wo diwar ban ke aa gaya hai darmiyan meri apne aap se kuchh dosti hai aaj bhi pattharon par chal ke sab ne panw zakhmi kar liye jabki us ke dar ka rasta makhmali hai aaj bhi rukh hawaon ka badalna jaante hain log jo bas unhin ke har diye mein raushni hai aaj bhi jin sawalon ka nahin hota koi musbat jawab un sawalon se ulajhta aadmi hai aaj bhi sikhta hai yun to insan har tariqe ki zaban sab se aasan sab se behtar khamushi hai aaj bhi jis ke chalte main ne dhunde the kai raste nae dhundhti mujh ko wahi aawargi hai aaj bhi kitne dube kitne ubhre kya khabar un ko 'farogh' bah rahi chup-chap yun hi har nadi hai aaj bhi