dekhte hain jab kabhi iman mein nuqsan shaikh aune-paune bech dala karte hain iman shaikh baad muddat ke jahan mein rahzanon ke din phire sunte hain phir ho gae hain ab police kaptan shaikh har zaban par zikr-e-haq aur dil mein hai yaad-e-butan ye nahin khulta ki hain insan ya shaitan shaikh ahl-e-shar to aap ko kahte hain amm-e-mohtaram aur shaitan aap ko kahta hai bhai-jaan shaikh be-takalluf hath dho kar baith jate hain zarur dekh lete hain bichha jis ja pe dastar-khwan shaikh shauq hai lekin khilaf-e-waza apni jaan kar mol le kar khud kabhi khate nahin ek pan shaikh go tajawuz kar chuke hain aap bhi sau sal se byah ka rakhte hain lekin aaj bhi arman shaikh jab ki bimar-e-mohabbat ka nahin mumkin ilaj de rahe hain phunk kar bekar use loban shaikh kaid ho hirs-o-hawas ho ya fareb-o-makr ho aap hi ke hath rahta hai har ek maidan shaikh 'shauq'-sahab un ki rag rag se hain waqif khub hum us ka ho jae diwala jis ke hon mehman shaikh