aql ne lakh andheron mein chhupaya hai tujhe mera wijdan magar chum ke aaya hai tujhe wo tilismat nazar aae ki dekhe na sune jab bhi aankhon ke charaghon mein jalaya hai tujhe raat bhigi hai to chheda hai tere dard ka saz chand nikla hai to chupke se jagaya hai tujhe main to kya waqt bhi ab chhu na sakega tujh ko ishq ne masnad-e-yazdan pe bithaya hai tujhe wo tera husn ki khira thi zamane ki nazar ye mera fan ki tera aks dikhaya hai tujhe aaj bhi zehan mein bijli si chamak uthti hai kaun bhola hai tujhe kis ne bhulaya hai tujhe jagmagati hai meri ruh to main sochta hun main ne khoya hai meri jaan ki paya hai tujhe