karam ho ya sitam sar apna kham yun bhi hai aur yun bhi tera diwana to sabit-qadam yun bhi hai aur yun bhi jafa ho ya wafa us ka karam yun bhi aur yun bhi nawazish roz-o-shab aur dam-ba-dam yun bhi hai aur yun bhi bhula den ya karen hum yaad-e-gham yun bhi hai aur yun bhi kisi ke hijr mein khud chashm-e-nam yun bhi hai aur yun bhi hayat-o-maut ka maqsad samajh mein aa nahin sakta wagarna aadmi majbur-e-gham yun bhi hai aur yun bhi mili rone se jab fursat to aansu pi liye hum ne mohabbat ke liye goya bharam yun bhi hai aur yun bhi baghawat koi karta hai raza par hai koi qail wo hai mabud us ka to karam yun bhi hai aur yun bhi nigah-e-naz se wo dekh kar nazren churaata hai hamara dil 'khizar' mashq-e-sitam yun bhi hai aur yun bhi