bashar ko mashal-e-iman se aagahi na mili dhuan wo tha ki nigahon ko raushni na mili khushi ki marifat aur gham ki aagahi na mili jise jahan mein mohabbat ki zindagi na mili jigar na tha ki koi phans si chubhi na mili jahan ki khak udai kahin khushi na mili ye kah ke aakhir-e-shab shama ho gai khamosh kisi ki zindagi lene se zindagi na mili labon pe phail gai ek mauj-e-gham akasr bichhad ke tujh se hansi ki tarah hansi na mili tawaf-e-shama patangon ka jal ke bhi hai wahi jigar ki aag se aankhon ko raushni na mili sabaat pa na sakega koi nizam-e-chaman fasurda ghunchon ko jis mein shaguftagi na mili falak ke taron se kya dur hogi zulmat-e-shab jab apne ghar ke charaghon se raushni na mili abhi shabab hai kar lun khataen ji bhar ke phir is maqam pe umr-e-rawan mili na mili wo qafile ki falak jin ke panw ka tha ghubar rah-e-hayat se bhatke to gard bhi na mili wo tira-bakht haqiqat mein hai jise 'mulla' kisi nigah ke sae ki chandni na mili