arman mere dil ke nikalne nahin dete wo dal mere ishq ki galne nahin dete har roz kiya karte hain wo ek naya wada ushshaq ko hathon se nikalne nahin dete raaton ko bhi ghaza se chamakta hai wo chehra suraj wo kabhi husn ka dhalne nahin dete har roz wo har ahd se phir jate hain lekin pahli ke mere wade ko talne nahin dete rukhsar ke shoale hon ki honton ki tapish ho parwanon ko is aag mein jalne nahin dete matlab pe jo aa jaun badal dete hain unwan wo raaz mohabbat ka ugalne nahin dete kahne ki hai aazadi magar baat ye sach hai auron ki koi baat wo chalne nahin dete daftar mein bhi kuchh husn-e-butan hai mere aage aafat se meri jaan nikalne nahin dete kuchh soch 'rahim' ab to reaya hai ki rai wo kaun hain jo phulne-phalne nahin dete