arsh-e-khuda khamosh hai tahtus-sara mein chup shor itna hai ki phail gai hai faza mein chup us ne bhi apne honton ko paband kar liya main ne bhi dal rakhi hai dast-e-dua mein chup ilzam ab to tir ki manind aaenge tum aae bhi to yun ki thi aawaz-e-pa mein chup suraj talluqat ka dhalne pe aa gaya mere junun mein shor hai teri wafa mein chup pindar-e-sard-mehri-e-duniya ki khair ho dil ne agarche kar liya shamil dua mein chup koi wajud hi nahin lafz-e-sukun ka apni baqa mein chup hai na apni fana mein chup 'afaq' duniya kya hai qayamat ke baad bhi zinda rahegi hulla-e-ahl-e-rida mein chup