bujhti ragon mein nur bikharta hua sa main tufan-e-nang-e-mauj guzarta hua sa main har shab ujalti hui bhigi ruton ke khwab aur misl-e-aks-e-khwab bikharta hua sa main mauj-e-talab mein tair gaya tha bas ek nam phir yun hua ki ji utha marta hua sa main ek dhund si falak se utarti dikhai de phir us mein aks aks sanwarta hua sa main dast-e-dua utha to utha us ke hi huzur lekin ye kya usi se mukarta hua sa main ab ke hawa chale to bikhar jaun dur tak lekin teri gali mein thaharta hua sa main main bujh gaya to kaun ujalega tera rup zinda hun is khayal mein marta hua sa main 'ajmal' wo nim-shab ki duaen kahan gain ek shor-e-agahi hai bikharta hua sa main