roz dekha hai shafaq se wo pighalta sona roz socha hai ki tum mere ho mere ho na main to ek kanch ke dariya mein bahi jati hun khankhanate hue hamraaz mujhe sun lo na main ne kanon mein pahan li hai tumhaari aawaz ab mere waste be-kar hain chandi sona meri khamoshi ko chupke se saja do aa kar ek ghazal tum bhi mere nam kabhi likkho na ruh mein git utar jate hain jaise khushbu gungunati si koi sham mujhe bhejo na chandni os ke qatron mein simat jaegi tirgi subh sawere mein kahin kho do na phir se aankhon mein koi rang saja lun 'nainan' kab se khwabon ko yahan bhul gai thi bona