bhula hua maqam ghazal mein phir aa gaya

bhula hua maqam ghazal mein phir aa gaya
ek khwab-e-na-tamam ghazal mein phir aa gaya

chhupta phire tha dhup ki talkhi se sara din
mahtab-e-waqt sham-e-ghazal mein phir aa gaya

sanson ke sath dil ki ragen tutti rahen
bakhiya-gari ka kaam ghazal mein phir aa gaya

samjha-bujha ke dil se nikala tha ek khayal
lafzon ka hath tham ghazal mein phir aa gaya

lab par hansi hai dil mein udasi ke bawajud
wo yun ki tera nam ghazal mein phir aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close