arz karta hun maniye waiz

arz karta hun maniye waiz
warna phir aap jaaniye waiz

kaisi lazzat hai mai mein poshida
pi ke thodi si dekhiye waiz

go milegi sharab jannat mein
kaun ummid par jiye waiz

hai yaqin bakhsh dega hum ko khuda
kaam achchhe bhi kuchh kiye waiz

dekhna mai-kade mein aaya hai
sath ek shokh ko liye waiz

waqai aap ne bhi ki tauba
kahin aisa na kijiye waiz

dil mein 'kaamil' ke rah gai hasrat
ho gae tang qafiye waiz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close