socha tha gulshan ki fazaen hongi naghma-bar bahut

socha tha gulshan ki fazaen hongi naghma-bar bahut
lekin jab dekha to chaman mein phul the kam aur khar bahut

aane wale aa bhi ja ye sham hi sham-e-zist na ho
aaj sahar se badla hua hai rang-e-rukh-e-bimar bahut

aise shair aise rahbar aaj ziyaada hain jin mein
azm-e-salib-o-dar nadarad zikr-e-salib-o-dar bahut

raat sar-e-mai-khana hum se kaj-rau naseh uljhe the
hum hi kuchh chup ho gae warna badh jati takrar bahut

azm agar ho mustahkam to phir dasht-o-jabal kuchh chiz nahin
na-pukhta ho azm-o-amal to ret ki bhi diwar bahut

ashab-e-fikr-o-fan dhundo to daur-e-nau mein kitne kam
dawa-e-fan mein yun dekho to baatuni fan-kar bahut

aaj mujhe tum kuchh bhi samjho lekin yaro yaad rakho
ek din tum hi yaad karoge mera khulus aur pyar bahut

yun dekho to rahbaron mein kaise mukhlis hote log
sath chalo to sabit honge mukhlis kam ayyar bahut

waqt pada jab hum par 'hairat' dukh ka sath koi na tha
yun milte the qadam qadam par hamdard aur gham-khwar bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close