asar aah ka gar dikhaenge hum abhi khinch kar tum ko laenge hum zara rah tu ai dasht-e-awargi tera khub khaka udaenge hum fasana teri zulf-e-shab-rang ka badhega jahan tak badhaenge hum wahi dard-e-furqat wahi intizar bhala mar ke kya chain paenge hum wo gumrah ghairon ke hamrah hai use rah par kyun ki laenge hum qafas se hua izn-e-parwaz kab ye khwahish hi dil se udaenge hum tilism-e-mohabbat hai aashiq ka haal unhen bhi ye qissa sunaenge hum wo nakhwat se hain aasman se pare kahan se unhen dhundh laenge hum na kar aah ye shorish-afzaiyan tujhe bhi kabhi aazmaenge hum na tutega sar-rishta-e-ikhtilat wo khinchenge jitna badhaenge hum ye mana ki ho rashk-e-hur-o-pari magar aadamiyat sikhaenge hum hazar tir-e-mizhgan ki bochhad se ye ek dil kahan tak bachaenge hum hamein zahr-o-khanjar ki kyun hai talash shab-e-gham mein kya mar na jaenge hum na nikla koi dhab to ban kar ghubar nazar mein tumhaari samaenge hum kahan ghar mein muflis ke farsh-o-farosh wo aae to aankhen bichhaenge hum tere qad se ki sarw ne ham-sari use aaj sidha banaenge hum nahin ghusl-e-mayyat ki ja qatl-gah magar khak-o-khun mein nahaenge hum rah-e-ishq se na-balad hai abhi khizar ko ye rasta bataenge hum hua wasl bhi to maza kaun sa wo ruthenge har dam manaenge hum shab-o-roz dil ko kureden na kyun yahin se pata us ka paenge hum abas hai ye 'majruh' tul-e-amal bakhede ye sab chhod jaenge hum