hujum-e-dard mila imtihan aisa tha magar wo chup hi raha be-zaban aisa tha kisi ki izzat-o-namus par na aanch aai luta to uf bhi na ki mehrban aisa tha zamana guzra magar dagh rah gaya dil par na mit saka kisi surat nishan aisa tha badan ki shakh se us ke kiran jo lipti thi wo sah saka na use dhan-pan aisa tha mata-e-zist luta di gai magar us ne zara bhi qadr na ki bad-guman aisa tha nazar-shanas tha kaisa ki umr bhar 'anjum' bhula saka na use mehman aisa tha