asar-e-soz-e-gham dikhae ja dil ke jazbaat aazmae ja mast aankhon ka wasta saqi main piye jaun tu pilae ja main tere zulm ko bhi lutf kahun tu mujhe be-wafa banae ja jo mohabbat ko jawedan kar de saz-e-dil par wo git gae ja na dikha jalwa-e-jamal magar apni dilkash sada sunae ja 'dard' tera hai 'dard' ka tu hai ai gham-e-dost rang lae ja