barpa hai ek qayamat mere dil-e-hazin mein aahen chhipi hui hain andaz-e-sharmgin mein aao aur aa ke apne rukh se naqab utha do phir zauq-e-sajda-rezi betab hai jabin mein allah re hamari ye mahwiyat ka aalam gum ho ke rah gae hain ek jalwa-e-hasin mein jannat ki bhi adaen kausar ki bhi fazaen kya kuchh nazar na aaya is chashm-e-naznin mein ranaiyon ka aalam ranginiyon ki duniya har chiz tairti hai ek jam-e-atishin mein meri nigah-o-dil mein ab wo sama gae hain main jaise kho gaya hun jalwon ki sarzamin mein diwangan-e-gham bhi hushiyar kis qadar hain khud phad kar gareban site hain aastin mein us ki nazar to mil kar wapas bhi ho chuki hai ek dard rah gaya hai lekin dil-e-hazin mein