ghar se nikle hain kisi zalim ke khwahan ho ke hum phir rahe hain aap apne dushman-e-jaan ho ke hum dekh kar sumbul ko yaad aai jo zulf-e-ambarin misl-e-bu gulshan se nikle hain pareshan ho ke hum chashm-e-tar ne daman-e-sahra mein moti bhar diye josh-e-wahshat mein uthe the abr-e-naisan ho ke hum chaunk padte hain wo ruya mein bhi hum ko dekh kar shayad aate hain nazar khwab-e-pareshan ho ke hum hausle parwaz ke nikle hain mar-mitne ke baad udte phirte hain ghubar-e-ku-e-jaanan ho ke hum intiha-e-laghari ne kar diya qissa daraaz ji rahe hain maut ki nazron se pinhan ho ke hum dekh kar dil tutta hai 'shaeq' anjam-e-habab kya karenge bahr-e-alam mein numayan ho ke hum