asar kar ke aah-e-rasa phir gai hua saf matla hawa phir gai sawari teri aa ke kya phir gai idhar ko udhar ki hawa phir gai mere sar se tegh-e-jafa phir gai kai bar aai qaza phir gai gaya dew-e-gham jalwa-e-yar se pari-zad aaya bala phir gai ye jaan-bakhsh us jaan-satan ki hai chaal wo aaya jo phir kar qaza phir gai ghadi do ghadi ka hai tera mariz tabib uth gae har dawa phir gai tu aata nahin is gali mein 'munir' tabiat teri hum se kya phir gai