dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi gar meri baat mein kuchh baat hai ye bhi na sahi id ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi dil mein jo kuchh hai tumhaare nahin pinhan mujh se zahiri lutf o mudaraat hai ye bhi na sahi zindagi hijr mein bhi yun hi guzar jaegi wasl ki ek hi gar raat hai ye bhi na sahi meri turbat pe lagate nahin thokar na lagao ye hi bas un ki karamat hai ye bhi na sahi kat sakte hain gala khud bhi na kije hamein qatl aap ke hath mein ek baat hai ye bhi na sahi qatl-e-qasid pe kamar bandhi hai 'shola' us ne khat kitabat ki mulaqat hai ye bhi na sahi