ladkhadata hun kabhi khud hi sambhal jata hun main bhi raston ke hi bartao mein dhal jata hun minnaten mujh se kiya karte hain dariya aa kar aur main pyas chhupa kar ke nikal jata hun din wirasat mein mujhe raushni de jata hai wo diya hun ki sar-e-sham hi jal jata hun chaak pe aa ke nahin chalti hai marzi meri ye bahut hai jo kisi shakl mein dhal jata hun be-sada si kisi aawaz ke pichhe pichhe chalte chalte main bahut dur nikal jata hun aaina roz bharam rakhta hai qaem mera warna ye sach hai main har roz badal jata hun aaj mahfil se teri uttha hun shaer ho kar teri aankhon se liye ek ghazal jata hun