asar kiya lab-e-khamosh ne zaban ki tarah bikhar gaya mera har ashk dastan ki tarah kiye hain tu ne sitam jaur-e-asman ki tarah jo imtihan liye mujh se imtihan ki tarah kahan thikana banaunga apna ai sayyaad qafas bhi ras na aaya jo aashiyan ki tarah shab-e-visal hai ji bhar ke muskurane do bahaar aai chaman mein mere khizan ki tarah meri to gardish-e-pa hai azal se qismat mein zamin bhi ghumti hai daur-e-asman ki tarah kahin pe manzil-e-ashiq safar mein khud to nahin nazar mein rahti hai kyon bahr-e-bekaran ki tarah kahun to kaise kahun un se haal-e-dil ai 'prem' zaban rakhta hun jab apni be-zaban ki tarah