badalta hai rang aasman kaise kaise mitata hai pir-o-jawan kaise kaise mitaya tha rustam na chhoda tha sohrab the aalam mein pir-o-jawan kaise kaise ye pise hai sab hi ko manind-e-chakki kute chur hain ustukhwan kaise kaise rulaya harish-chandr ko ban ke sadhu mitae hain shah-e-zaman kaise kaise sabhi ban ke mitte rahe mit ke bante hue kab mite kab kahan kaise kaise bahaaren bhi aain khizaen bhi aain badalte hain rang-e-jahan kaise kaise tere 'prem' mein pad gae jo bache hain hue sant bhi hain yahan kaise kaise