ashaar mein jo mere kiran justuju ki hai miras ye bhi tere hi mohar-e-numu ki hai nazron mein ab bhi hain tere lahje ke mah-o-najm ab bhi samaaton mein chamak guftugu ki hai teri pukar hai ki ye bunden hain os ki aawaz-e-naghma hai ki sada aab-ju ki hai diwar-e-zabt tut bhi sakti hai kuchh karun fawwara chhut jae wo haalat lahu ki hai yun phul to baraste na the ku-e-yar mein ye hum guzarte hain ki sawari adu ki hai pyason ko intikhab ki jurat na koi haq kya puchhiye huzur ye kis ke subu ki hai 'arshad' wo samne hi to hai shakh-e-dastaras duri bas ek jast-e-buland-arzu ki hai