tu mila to mujhe yaqin aaya

tu mila to mujhe yaqin aaya
main yahan be-sabab nahin aaya

mujh se tujh mein kashish ziyaada thi
is liye main tere qarib aaya

jaane dariya ke par kya hai ki jo
muskuraata gaya hazin aaya

jahan aana na chahiye tha kabhi
dil siyah-bakht tha wahin aaya

qabr hai ya black-hole koi
jo gaya laut kar nahin aaya

jhum uthe hain sabhi sitare 'zaki'
kahkashan mein koi makin aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close