ba-har-tariq use mismar karte rahna hai kabhi sukhan to kabhi war karte rahna hai daron ke waste diwar chahiye jaanan so farsh-e-khwab ko diwar karte rahna hai sahar ke marka-e-nel-o-bad se kya matlab hamara kaam to bedar karte rahna hai wo ek dard jo saiqal nahin hua ab tak usi ko aaina-e-yar karte rahna hai yahi hai wirsa-e-shabbir ka chalan 'arshad' ki har yazid se inkar karte rahna hai