ashaar mere yun to zamane ke liye hain kuchh sher faqat un ko sunane ke liye hain ab ye bhi nahin thik ki har dard mita den kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain socho to badi chiz hai tahzib badan ki warna ye faqat aag bujhane ke liye hain aankhon mein jo bhar loge to kanton se chubhenge ye khwab to palkon pe sajaane ke liye hain dekhun tere hathon ko to lagta hai tere hath mandir mein faqat dip jalane ke liye hain ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain