ek iztirab sa sine mein har ghadi hai mujhe thahr ai zindagi ek baat puchhni hai mujhe idhar se jab bhi guzarna ho to pukara kar andhere mein teri aawaz raushni hai mujhe ajib tarah ki tanhai hai mere ghar mein har ek chiz udasi se dekhti hai mujhe main ab to kashti-e-jaan mein sawar ho chuka hun so dekhiye kahan le ja ke chhodti hai mujhe mujhe bata jo kabhi lautta ho guzra waqt ki phir se tujh mein wahi baat dekhni hai mujhe main us se tark-e-talluq to kar bhi lun lekin na jaane kaun si ummid rokti hai mujhe main apne tutte ghar ki hun aakhiri ummid so ishq bhar nahin har baat sochni hai mujhe