ashk bhejen mauj ubhaaren abr jari kijiye mehrban sail-e-bala ki aabyari kijiye ai charagh-e-taq-e-jaanan ai hawa-e-ku-e-dost apni kaifiyyat zara hum par bhi tari kijiye sham-e-hijran mein sitaron ko na thahraen sharik aaina-khane mein aa kar khud-shumari kijiye ashk-bari sina-chaaki dil-kharashi ho chuki lije sahib ishq ka farman jari kijiye hont kahte hain baha dije lahu ashaar mein zulf kahti hai miyan tarkib bhaari kijiye dekhiye mah o sitara ghumiye arz o sama chaliye bahar baad-e-khud-sar ki sawari kijiye ishq ka agla padaw main hun main duniya-parast al-madad ai qais ai farhad yari kijiye yun to malne se rahi ye saltanat so shahryar panw pad kar roiye minnat-gizari kijiye