duniya sabhi baatil ki talabgar lage hai jis ruh ko dekho wahi bimar lage hai jab bhuk se mar jata hai dorahe pe koi basti ka har ek shakhs gunahgar lage hai shayad nai tahzib ki mearaj yahi hai haq-go hi zamane mein khata-kar lage hai wo teri wafa ki ho ki duniya ki jafa ki mat chhed koi baat ki talwar lage hai kya zarf hai har zulm pe khamosh hai duniya is daur ka insan pur-asrar lage hai jis ne kabhi dariya ka talatum nahin dekha sahil bhi use dur se manjhdar lage hai