ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki khabar dete hain ye wo qatre hain jo tufan ki khabar dete hain qalb-e-sozan mein shab-o-roz machalte jazbaat garmi-e-shauq-e-farawan ki khabar dete hain in sisakte hue ghunchon ko hiqarat se na dekh ye tujhe nazm-e-gulistan ki khabar dete hain tere mai-khane ke dam todte aaen saqi kisi taghir-e-numayan ki khabar dete hain wo ufuq par jo ujale se nazar aate hain aamad-e-subh-e-darakhshan ki khabar dete hain sehn-e-gulshan mein ba-har-an badalte hue rang ek nae daur-e-bahaaran ki khabar dete hain haq to ye hai ki khalaon ke safar ai 'mansha' azmat-e-rutba-e-insan ki khabar dete hain