khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi teri duniya ke pichhe bhagta phirta raha main bhi meri aawaz pichhli raat tujh tak kaise aa pati kisi gahre kuen mein raat bhar sota raha main bhi ba-zahir dekhti aankhen ba-zahir jagti ruhen ba-zahir in sabhon ke sath hi jita raha main bhi main hun is karsaz-e-be-kasan ki dastaras mein yun wo jis sanche mein bhi dhaala kiya dhalta raha main bhi badan malbus mein shoala sa ek larzan qarin-e-jaan dil-e-khashak bhi shoala hua jalta raha main bhi hai jis rah-e-yaqin par gamzan pa-e-khirad har-dam usi rah-e-guman par muddaton chalta raha main bhi