fughan se zabt-e-junun ka nizam tut gaya ki mere hath se mera hi jam tut gaya wahi hain tauq-o-salasil wahi nizam-e-chaman wo kaun hain jo ye kahte hain dam tut gaya zarur pir-e-mughan ka bhi kuchh ishaara tha ghalat kaha ki muqaddar se jam tut gaya bikhar gae meri khatir hayat ke gesu kabhi jo shab ke sitaron ka dam tut gaya kiya tha jis ne haqaeq se hum ko begana wo ek nashsha-e-kaif-e-dawam tut gaya tumhaare qurb ki saat mein yun hua mahsus ki jaise silsila-e-subh-o-sham tut gaya usul-e-rah-numa se jahan mein ai 'maikash' hazar dam bane ek dam tut gaya