zabt ke ba-wasf dil kyon be-adab hone laga kyon nigahon se ayan rang-e-talab hone laga kya hui meri wafaon ki aqidat kya hui bewafai ka gila kyon zer-e-lab hone laga be-qarari dil ki fitrat zabt-e-gham meri sarisht kashmakash ka taza saman roz-o-shab hone laga dil ki khushnudi agar manzur hai khamosh rah josh-e-gham to aaj-kal kuchh be-adab hone laga 'fitrat' aur be-mehri-e-taqdir ka shikwa ghalat ye nahin hone ka ai dil aisa kab hone laga