ashk par gudaz-dil hashiya chadhata hai ek zara se qisse ko dastan banata hai han wo kafir-e-nemat kor-zauq hai yaro jo gham-e-mohabbat ko hadisa batata hai jite-ji ka rishta hai ruh-o-jism ka rishta dhup ke taaqub mein saya mat khata hai jab zaban-bandi ho nazren kaam karti hain ek payam aata hai ek payam jata hai pattharon ke sine mein aaine bhi hire bhi zulmaton ka khaliq hi mehr-o-mah ugata hai kyun jawar-e-manzil mein sust-e-gam hain rahi qurb ka yaqin shayad fasla badhata hai ai 'uruj' ye duniya qadr-e-dard kya jaane kyun zamana-sazon ko haal-e-dil sunata hai