band hain dil ke dariche raushni madum hai ab jo apna hashr hona hai hamein malum hai hasb-e-nairang-e-jahan dil shad ya maghmum hai aadmi jazbaat ka hakim nahin mahkum hai ab takalluf bartaraf ye aap ko malum hai kyun mera khwab-e-wafa tabir se mahrum hai husn khud tadpa kiya hai mujh ko tadpane ke baad sochna padta hai wo zalim hai ya mazlum hai khwab aakhir khwab hai is khwab ka kya e'tibar jannat-e-nazzara goya jannat-e-mauhum hai hae ye tarfa maal-e-arzu-e-subh-e-nau jis taraf nazren uthata hun faza masmum hai mere kirdar-e-wafa ki aaina-dari ba-khair kyun zaban-e-dost par al-shaz-o-kal-madum hai dekhne ki chiz hai ye sehr-e-andaz-e-nazar un ka har mubham ishaara hamil-e-mafhum hai khar bhi na-mutmain hain phul bhi na-mutmain baghban ke is nizam-e-gulistan ki dhum hai ab use mahaul jis qalib mein chahe dhaal de fitratan to aadmi ek paikar-e-mafhum hai jo bhari mahfil mein nazron ki hui hai guftugu husn ko malum hai ya ishq ko malum hai kitni kaif-awar hai in ki shirkat-e-gham bhi 'uruj' matam-e-dil ki jagah jashn-e-dil-e-marhum hai