ashkon ke guhar yun sar-e-mizhgan bhi na tolen

ashkon ke guhar yun sar-e-mizhgan bhi na tolen
in aankhon se kah do ki abhi raaz na kholen

taskin-e-dil-o-jaan ki to nikle koi surat
is neza-e-mizgan ki ani dil chubho len

aankhon se karen kya tunak aabi ki shikayat
dil hi ke lahu se kabhi palkon ko bhigo len

chahat to har ek baat se zahir hai ab un ki
har chand zaban se na kahen munh se na bolen

qismat mein agar tum se bichhadna hi likkha hai
ek bar tumhein apne se lipta ke to ro len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close