jab azm ke shoalon ko himmat ne hawa di hai tufan ne hi sahil ki taswir dikha di hai shoalon se gila kaisa bijli se shikayat kya gulshan ke nigahban ne har shakh jala di hai chaha tha karen un se kuchh shikwa-e-be-mehri lab hilne se pahle hi saugand khila di hai ek wo bhi hain marte hain jo nang-e-wafa ban kar har war pe hum ne to qatil ko dua di hai kanp uttha hai jaane kyun har tar-e-nafas 'sumbul' jab mere buzurgon ne jine ki dua di hai