badan ke sae ne jab rasta siyah kiya palat ke main ne bhi suraj ko intibah kiya phir ek yaad ki lau jagmagai sine mein phir ek umid ne dil ko panah-gah kiya is ek shauq-e-nazar ne hamein kiya tamir phir us ke baad isi ne hamein tabah kiya hawa ruki to bhadakte rahe charaghon mein hawa chali to uthe khud ko rah rah kiya ajib sham thi wo sham jab bichhadte waqt is aaftab ne afsurda be-panah kiya zamin bas yahi qabil thi is liye apni ghazal mein tujh ko uthaya to mehr-o-mah kiya agar chale to musalsal chale musalsal hi 'nafis' ishq kiya aur gah gah kiya