asir-e-azmat-e-kirdar bhi nahin hue hain abhi to sahab-e-dastar bhi nahin hue hain hum ek tarah se giraftar to hue hain magar kuchh is tarah se giraftar bhi nahin hue hain hamesha lete hain hum khud-aziyyati ka maza hamare dard giran-bar bhi nahin hue hain abhi se kis liye tum ko padi hai jaane ki abhi to band ye bazar bhi nahin hue hain abhi khayal mein hum ne kiya hai ghar tamir abhi to is mein giraftar bhi nahin hue hain hazaron kaam hamare liye hain kyon tayyar abhi to nind se bedar bhi nahin hue hain tamam log gharon mein dubak ke ja baithen ye shahr itne pur-asrar bhi nahin hue hain uthen aur us ki gali mein kahin bhi ja baithen 'hanif' itne subuksar bhi nahin hue hain