haq-pasand haq-ashna ho jaiye aap apna aaina ho jaiye shart un ki aao musa ki tarah apni zid jalwa-numa ho jaiye aur kab tak zulmaton ka tazkira raushni ka silsila ho jaiye rahzani mein parda-dari shart hai aisa kije rahnuma ho jaiye khak hona hi muqaddar hai to phir khak-e-pa-e-mustafa ho jaiye