koi aur dastan thi dar-e-dastan se aage mujhe le gaya tha ek din koi aasman se aage mujhe kya dikhai deta ki har ek taraf dhuan tha main nikal gaya tha shayad teri kahkashan se aage tere aastan se aage koi rasta nahin hai koi kaise ja sakega tere aastan se aage main kabhi wahan se aage na gaya na ja sakunga mujhe kuchh khabar nahin hai ki hai kya wahan se aage kabhi tha yaqin ke pichhe to kabhi guman ke pichhe magar ab yaqin mera hai mere guman se aage mujhe bas yahi pata hai ki the sath sath donon hua main kahan se pichhe hua tu kahan se aage