asir-e-khak bhi hun khak se riha bhi hun main main ji raha hun to dekho mara pada bhi hun main main ek lamha-e-hazir bila-siyaq-o-sabaq aur apne lamha-e-hazir ka hafiza bhi hun main main ek fard-e-saf-ara maashre ke khilaf aur ek fard mein pura muashra bhi hun main nikal bhi aaya hun us kucha-e-taghaful se aur us ke dar pe bahut sa pada hua bhi hun main main apni khak mein lat-path pada hua hun abhi magar na bhul ki parwarda-e-hawa bhi hun main kisi bhi lafz ke jaisa nahin hai lafz mera idhar-udhar se bahut sa kaha-suna bhi hun main agarche thik se banda bhi main nahin 'ehsas' magar kabhi kabhi ek lamha-e-khuda bhi hun main