meri khwahish na sahi tera irada hai zarur sakht mushkil hai ki tujh sa mujhe hona hai zarur kaun sa ranj hua hosh nahin hai lekin apne nakhun se hi khurcha hua sina hai zarur ab wo pahli si fazaon mein kudurat na rahi han meri aankh mein halka sa dhundlaka hai zarur hum ko is daur ki tarikh to likhni hogi ek chhota sa qalam hi sahi apna hai zarur roab us lafz ka rahta hai musallat 'ashhar' be-niyazi mein bhi mabud jo mera hai zarur