asir-e-sham hain dhalte dikhai dete hain ye log nind mein chalte dikhai dete hain wo ek makan ki us mein koi nahin rahta magar charagh se jalte dikhai dete hain ye kaisa rang nazar aaya us ki aankhon mein ki sare rang badalte dikhai dete hain wo kaun log hain jo tishnagi ki shiddat se kanar-e-ab pighalte dikhai dete hain andheri raat mein bhi shahr ke darichon se hamein to chand nikalte dikhai dete hain