main ne ai dil tujhe sine se lagaya hua hai aur tu hai ki meri jaan ko aaya hua hai bas isi bojh se dohri hui jati hai kamar zindagi ka jo ye ehsan uthaya hua hai kya hua gar nahin baadal ye barasne wala ye bhi kuchh kam to nahin hai jo ye aaya hua hai rah chalti hui is rahguzar par 'ajmal' hum samajhte hain qadam hum ne jamaya hua hai hum ye samjhe the ki hum bhul gae hain us ko aaj be-tarah hamein yaad jo aaya hua hai wo kisi roz hawaon ki tarah aaega rah mein jis ki diya hum ne jalaya hua hai kaun batlae use apna yaqin hai ki nahin wo jise hum ne khuda apna banaya hua hai yunhi diwana bana phirta hai warna 'ajmal' dil mein baitha hua hai zehn pe chhaya hua hai